Header Ads

party eyes makeup in urdu - ankhon ka makeup - beauty tips at home - women makeup - Indian - Pakistani




party eyes makeup in urdu - ankhon ka makeup - beauty tips at home - women makeup - Indian - Pakistani 


Eye is the main part of eyes, on which beauty of whole face depend. You must be careful for your eyes and give full attention and protection to them. We all know the importance of fitness of body for that we join gyms, going for jogging and swimming. As our body want exercise for fitness eyes too requires that, if you want healthy and eyestrain free eyes then make a habit of eye exercise and give some time in your daily routine.In this page you will find and read aankhon ka makeup in hindi.

Ankhon Ki Hifazat Or Vitamin

Ankhon ki hifazat or vitamin A,b or C
Ankhon ki behtrin hifazat ke lye aap vitamin A,B or C ki khorak len. Mutadid sabziyan jo kachi khai jaen faida mand hoti hain. Gajar palak wagera me vitamin A kasir tadad me paya jata hai. makhan chiknahat se bhar pure, machli , orange or pili sabziyan or phal khaen……….in vitamins ka shafaf ankhon se bara ghahra taluq hai or khas tor pr in ke istamal se insan madham roshni or tariki me dekhne ki salahiyat rakhta hai.

Vitamin B2 Ki Kami Ke Ankhon Pr Asarat

Mahirin beautician achi binai ke lye vitamin B2, C or D ko bhi zarori qarar dete hain. Agar insan me vitamin B2 ki kami ho jae to ankhen surkh ho kar dard karne lagti hain or in se pani behne lagta hai. mahirin ke mutabiq viotamin A un logon ke lye zarori hai k jo ankhon se zyada kaam lete hain. Maslan likhne parhne wale, akhbar nawes or qarain wagera in logon ke vitamin a zyada kharch hote hain.

Ankhon Ke Lye Smoky Makeup (smokey eye makeup tips in urdu)

chehre ke tamam khado khal apni jaga khobsorti or ahmiyat ke hamil hain magar ankhen to aese jese tasver me rang dunya ki tamam tar dilkashi or ranaiyan inhin ki badolat mehsos ki ja sakti hai. isi lye hi to ankhon ko nat naye make up ke andaz se muzin kya jata hai. kabhi sirf surma lagane se hi ankhon ka make up ho jata tha jabke aaj chehre ko sawarne ke lye sab se zyada tawaja or waqt ankhon pr sarf kya jata hai. ankhon ko pur kashish or zyada numayan karne ke lye kale, surmai, braon or qurmazi rangon ke eye shades ke imtaraj se smooky make up kya ja sakta hai. ankhon ko mundarja zel tariqe se smooky touch dya ja sakta hai.
  • Sab se pehle ankhon pr foundation ki base lagaen. Ankhon pr halqe pare hon to ankhon ke gird foundation lagaen ta ke halqe chup jaen. Foundation is tarha lagaen k zyada numayan na ho.
  • Ab kali eye liner pencil se ankhon ke khadokhal ko numayan karen. Yad rahe k ye out line papoton ke oper palkon ke sath lagaen lekin liner ki tarha lakir na khinchen balke use phela kar lagaen.
  • Bhawon ke niche ki jaga ko safed or silver rang ke eye shades se high light karen.
  • Eye led pencil ke sath shape banaen. Ye shape zyada bari nahi bani chahye. Phir isfunj ke sath surmai rang ka shades is hise pr phelaen. Ankhon pr smooky make up ke lye shades bursh ke bajae isfunj ki madad se zyada safai se laga sakte hain. ‘
  • Ab eye liner lagaen. Eye liner ankhon ke size or shape ke mutabiq lagana chahye agar ankhen choti hain to barik eye liner lagaen. Bari ankh pr mota liner jache ga.
  • Ankhon ke atraf me khasosi kono pr surmai shade dobara se lagaen or ise isfunj ua ungli ke madad se achi tarha phela den.
  • Funshing touch dene ke lye ankhon ki operi or nichli palkon pr kale rang ka maskara lagaen.
  • Note
  • Agar aap isfunj ki madad se ankhon ka make up karen gi to wo zyada behtar rahe ga or zyada dair tak ankhon pr thehr sake ga.
  • Ankhon pr eye liner zyada numayan ho raha ho to is ke lye liner ke oper halka sa ghehre shade ka touch de den. Eye liner halka ho jae ga.
  • Agar aap ne ankhon pr shades nahi lagae sirf liner istamal kya hai to is sorat me face powder ki madad se liner kam kya ja sakta hai.
  • Ankhon ka make up karte waqtr is bat ka khasosi khayal rakhen k agar aap shadi pr ja rahi hain or rat ka function hai to ankhon ka make up numayan hona chahye.
  • Agar aap kisi party me ja rahi hain to ankhon ke lye halka make up behtar rahe ga.
  • Agar aap dark smooky shades yani (surmai or kala )lagana pasand nhi kartin to aap shehre sabz, nile or mehron rang ke imtaraj se bhi ankhon ko “smooky look” de sakti hain.
Khush Wazah Ankhon Ke Lye Makeup
Agar aap ki ankhen bari or khobsorat hain to in pr ghehre rang ke eye make up se gurez karen. Halke rang ke eye shades ko papote se eye brow tak achi tarha blend karen. Kajal ki dhar aesi ankhon me bari achi lagti hai ya phir eye pencil se palkon ke ander or bahar khat banaen or palkon ko maskara se sawar den.
Choti Ankhon Ka Makeup(eye makeup tips for small eyes in hindi)
Eye shade ko papoton se le kar bhawon tak lagaen. Nez ankhon ke androni goshe tak laga kar achi tarha blend karen. Ab ankhon ki operi palkon ke sath sath sunheri rang ke eye shade se khat bana den or is shedo ko ankhon ke dono kono pr achi tarha blend karen palkon pr maskare ke do code karen.
Badami Ankhon Ka Make Up
Braon eye shado is tarha blend karen k wo ankh ke androni kone or eye brow ki hadi ke pas halka ho. Ankh ke beroni kone se eye shade ko ankh ke nichle hise tak lagaen. Ankh ke eye brow ke karib parl safed eye shade high leght ka kaam de ga. Braon eye pencil se ankh ke ird gird khat banaen or maskara bhi bhora hi istamal karen.
Har Tarha Ki Ankhon Ka Makeup
Atishi gulabi rang ke lye braon rang ke eye shade ko ankh ke oper or niche lagaen or ise achi tarha se blend karen. Ankh ke androni goshe ke oper or niche halki gulabi eye shade ka touch den. Is eye shade ko numayan karne ke lye braon eye pencil se ankh ke gird khat banaen agar aap ki eye brow ki rangat sir ke balon ki rangat se ghehri hai to ankhen choti mehsos hon gi. Aesi sorat me eye brush se thori si foundation eye brow pr lagaen. Agar aap ke ankhon ke gird siyah halqe hain to inhen dor karne ki tadabir karen ya phir make up se pehle in pr aesi foundation lagaen jis ka shade aap ki jild ke hum rang ho. Lekin safed rang ka koi cream ya powder ankhon pr na lagaen.
Palken bari karne ka tarika
Palken bari hon to chehra khobsorat or dilkash nazar ata hai. palken bari karne ka ek asan tarin nuskha ye hai k choti makhi ke shehad me kister oil mila kar rozana rat ko sote waqt palkon pr lagaen ya phir rat ko sote waqt sarson ka tel palkon pr lagaen ye amal taqriban 1 ½ mah tak jari rakhen. Is tarha se aap ki palken pehle ki nasbat bari ho jaen gi.
Bhawon Ko Chamak Dar Banana
Bhawon ko chamakdar banane ke lye zeton ka tel istamal karna boht mufid sabit hota hai. is se bhawen na sirf chamakdar hoti hain balke ghani bhi ho jati hain. Zeton ka tel baqaidgi se bhawon pr lagana chahye is tarha jab aap bhawon ko tarashen gi to ye behad pur kashish hon gi or in ki chamak chehre ko dilkash banae gi.
Palkon ko lamba karne ka tarika in hindi
Brush kiraster oil me dhbo kar sote waqt apni palkon pr lagan ek or nuskha zeton ka tel palkon ki jaron me lagen. Ye bhi rat ko sote waqt kar skti hain or nem garam or boric acid lotion se ankhen dhoen or sard pani se chinte maren ankhen saf or chamakdr ho jaen gi.

No comments